Sunday, October 10, 2010

Kashmakash

Baithe Baithe sochti hoon jaane kyun mera yeh haal hai,
Jis ka dhoond rahi hoon jawab jaane woh kya sawal hai,
Mudaton ho gaye khud se baatein kiye huye,
Jaane kab tha aakhri baar chain se raatein bitaye huye,
Aakhir kyun hai itni kashmakash,
Kya hai aaisa jisse nahi hai hotoon par muskarahat.


Ekdum se khayal aaya aur dil darr sa gaya,
Shayad kya nahi hai paas naadan pehchaan sa gaya,
Kaise samjhaoon isse
Kyun khud mein sama kar sub kuch bhulana chahe,
Kyun sub dekh kar aankhen churana chahe,
Kyun meri bhi aankhen namm kare aur khud bhi udaas hota rahe.


Naa jaane kyun hai kashmakash,
Naa jaane kya hain yeh sawaal,
Kyun nai hai dil ko sukoon
Ke base aankhon mein bus khubsurat khawab.